![]() |
The Battlefield of Kalinga (Image Source: Business Week)
|
Tuesday, September 17, 2013
Ashoka's Atonement
Monday, September 16, 2013
Monday, September 9, 2013
Ansuni Daastan (अनसुनी दास्ताँ)
Darbadar dhoond raha
apne hi aks ko andhere may,
thokar kha kay gira,
ojhal hui duniya, sanvrit hain nigahein,
Saar toota. bheege nain,
asahya dard saha na jaye,
nazar hui jab anirnit
bodh na kahin dikhe,
Magar hriday kay in chidron se
divya aalok, mere abbhyantar samaye,
aur dil per ek nitya ansuni dastaan
likh gayi yeh dararein.
दरबदर ढूँढ रहा
अपने ही अक्स को अंधेरे मे,
ठोकर खा के गिरा
ओझल हुई दुनिया, संवृत हैं निगाहें,
सार टूटा, भीगे नैन
असह्य दर्द सहा न जाये,
नज़र हुई जब अनिर्णित
बोध न कहीं दिखे,
मगर ह्रदय के इन छिद्रों से
दिव्य आलोक मेरे अभ्यंतर मे समाये,
और दिल पर एक नित्य अनसुनी दास्ताँ
लिख गयी यह दरारें।

Wednesday, September 4, 2013
Nash Hai Rooh (नाश है रूह)
Maula ab na hota sabar
duniya se hua bekhabar
duniya se hua bekhabar
Kisi se na Koi Aas
Tujh se bhi utha vishwas
Tujh se bhi utha vishwas
Maey-e-kaif Mein Magan
neeche dharti upar Gagan
neeche dharti upar Gagan
Jism to bas ek taabuut
jab naash hai yeh rooh
मौला अब न होता सबर
दुनिया से हुआ बेखबर
किसी से न कोई आस
तुझ से भी उठा विश्वास
मेय-ए-कैफ में मगन
नीचे धरती ऊपर गगन
जिस्म तो बस एक ताबूत
जब नाश है यह रूह
Meanings:
Maey-e-kaif: Intoxication of Wine;
taabuut: Coffin
naash: Corpse
jab naash hai yeh rooh
मौला अब न होता सबर
दुनिया से हुआ बेखबर
किसी से न कोई आस
तुझ से भी उठा विश्वास
मेय-ए-कैफ में मगन
नीचे धरती ऊपर गगन
जिस्म तो बस एक ताबूत
जब नाश है यह रूह
Meanings:
Maey-e-kaif: Intoxication of Wine;
taabuut: Coffin
naash: Corpse
Wednesday, August 14, 2013
Madhushala (मधुशाला)
Alfazon mei nahi itna dum
Ki bayaan kar payein kitna tumhe chahte hain hum
Ki bayaan kar payein kitna tumhe chahte hain hum
Jaise Meghon kay baraste paani
Ne sirf dharti ki raah jaani
Ne sirf dharti ki raah jaani
Aur meelon ka faasla chal har sagar ki lehar
Chume bas samudra tat kay paer
Chume bas samudra tat kay paer
Yaaraa-e-ulfat bas tu mehsoos kar
Saaki tere nashe mein madhushala say guzre meri har dagar
Saaki tere nashe mein madhushala say guzre meri har dagar
अल्फाजों में नहीं इतना दम
की बयाँ कर पाएं कितना तुम्हे चाहते हैं हम
जैसे मेघों के बरसते पानी
ने सिर्फ धरती की राह जानी
और मीलों का फासला चल हर सागर की लहर
चूमे बस समुद्र तट के पैर
यारा-ऐ-उल्फत बस तू महसूस कर
साकी तेरे नशे में मधुशाला से गुज़रे मेरी हर डगर
Wednesday, July 31, 2013
Har Lamha (हर लम्हा)
Baatein hain Hazaar
badte kadam ruk jayein har baar
Ghul rahi hai saason mein saansein
phir bhi hamare darmiyaan kaynaaton kay faasle
Nam aakhein karein bayaan is dil ki daastan
dhundein teri aakhon mein yeh apna jahaan
Tujhe shayad lage har pal ek bhula sa sapna
jee raha main tere pyaar ki haqeeqat mein har lamha
Teri khushboo say mehak rahi fiza
tu mujhme shashvtataa tak hai basi - meri hai yahi saza
बातें हैं हज़ार
बड़ते कदम रुक जायें हर बार
घुल रही है साँसों में सांसें
फिर भी हमारे दरमियान काय्नातों के फासले
नम आखें करें बयान इस दिल की दास्ताँ
ढूँढें तेरी आखों में यह अपना जहाँ
तुझे शायाद लगे हर पल एक भुला सा सपना
जी रहा मैं तेरे प्यार की हकीकत में हर लम्हा
तेरी खुशबु से महक रही फिज़ा
तू मुझमे शाश्वतता तक है बसी - मेरी है यही सज़ा

Monday, July 29, 2013
Ibtisaam dekhe Khaalq (The World sees a Smile)
Mar bhi jaon aaj agar
aab-e-chasm na bahana
Aagaaz-e-ulfat ne hi mujhe tha mara
teri hi aas mein parastaar jee raha
Ek bhooli si hikaayat ban gaya
khalvat mein sabke kirdar raha nibha
Mar mar ke jeene ki yaaraa nahi mujh mein
le rahi nafs udhaar ki kuch nafasein
Sooz-e-nihaan na aaye kabhi nazar
vaada kiya hai tujhse, aatish - e - dozakh mein bhi ibtisaam dekhe khaalq
Meanings
(aab-e-chasm - tears); (aagaaz-e-ulfat - begining of love); (parastaar - lover/devotee); (hikaayat - story); (khalvat - solitude); (yaaraa - strength); (nafasein - breaths); (nafs - soul);(sooz-e-nihaan - inner sorrow); (aatish-e-dozakh - Fires of hell); (ibtisaam - smile); (kaalq - world)

Subscribe to:
Posts
(
Atom
)