Saturday, May 26, 2018

Barkat

Barkat hai Khuda Ki
jo tera deedar hua,

woh shab itni haseen bani
jab tum roobaroo hui,

aarzoo, guzaarish ya ho tum zaroorat
dil ne hi bas mehsoos kiya,

khushnaseeb hua yeh banjaara
tera pyaar ab manzil bana

istakbal ho har pal
jo tere sath hai jiya

inayat hai maula ki
tujhe bhi ishq hua

Saturday, December 9, 2017

Lake




Full moon shining bright,
its reflection silently making love,
the passion turning the water milky,
and the Orgasm ripples across the lake.

Monday, August 1, 2016

Woh Bhi / वह भी

Woh bhi kya din they…..
Fizaon mein pyaar ki surkhiyaan thi 
Zindagi kay nashe mein hum dhut they
Per tere nashe mein they hum pure hosh mein

Woh bhi kya lamhe they….
Nazron mein shaitani thi
Jawab kam per sawaal khoob they
Lekin tumhari khamoshiyon mein they jawab saare

Woh bhi kya aashiq they….
Shafqat mein shidat thi
Bhari mehfil mein bin tere begaane hum they
Per jab sung ho to veerane ki fazaa bhi ho jati mehfilana



वह भी क्या दिन थे 
फिज़ाओं में प्यार की सुर्खियां थी 
ज़िन्दगी के नशे में हम धुत थे 
पर तेरे नशे में थे हम पुरे होश में

वह भी क्या लम्हे थे 
नज़रों में शैतानी थी
जवाब कम पर सवाल खूब थे 
लेकिन तुम्हारी खामोशियों में थे जवाब सारे 

वह भी क्या आशिक़ थे 
शफकत में शिदत्त थी 
भरी महफ़िल में बिन तेरे हम  बेगाने थे
पर जब संग हो तो वीराने की फज़ा भी जाती मैहफिलाना 

Thursday, March 10, 2016

Pucho


Tiptipate paani se Pucho 
ki Tera manzar hai kahan?
Ki badal banke barse ga tu,
Ya jaayega is dharti mein sama.

Sulagti hui jwala se Pucho 
ki Teri Taqdeer hai kahan?
Shola banke bhadke gi tu,
Ya raakh ho jaayegi to aaj yahan.

Behti hawa se Pucho 
ki Teri raza hai kisme?
Sanson mein saans bhar Degi tu,

Ya aakhri dum mein legi bidai.

Roshni se Pucho ki 
Teri muraad hai kya?
Suryouday ke saath aayegi tu,
Ya grahan mein andhkaar kar jaayegi.

Khuda se Pucho 
ki kya hai fitoor tera?
Har Aayat mein aayega tu, 
Ya milega jab yeh rooh hogi Visal.

Tuesday, October 13, 2015

Aashiyana - आशियाना

Daraaron mein barson se bhari mein aur tum ki kai
bhranti ki deemak stambon ko andar se khokhla kar rahi
ahankaar gahari jadein kar baitha beech dewaron mein
dehleez ko tod diya vipul apekshaon ki thokar ne
gussa ban ke aandhi tod gaya jharonkon ko
aur bill bana kay baith gaye katakshi naag sau

par zalzala nahi hila paya iski buniyaad ko

pyaar ka ek chotta sa shola bhadak raha jo
kai, deemak aur jadon ki, thokar, aandhi aur naagon ki
poorn aahuti is jwala ko arpit hai karni
pyaar aur rishton ko yahan panapna hai
aur is khandar ko ek baar phir aashiyaana banaana hai


दरारों में बरसों से भरी मै और तुम की काई 
भ्रान्ति की दीमक स्तंबों को अंदर से खोखला कर रही
अहंकार गहरी जड़ें कर बैठा बीच दीवारों में 
देहलीज़ को तोड़ दिया विपुल अपेक्षाओं की ठोकर ने 
गुस्सा बन के आंधी तोड़ गया झरोकों को 
और बिल बना के बैठ गये कटाक्षी नाग सौ 

पर ज़लज़ला नहीं हिला पाया इसकी बुनियाद को 

प्यार का एक छोटा सा शोला भड़क रहा जो  
काई, दीमक और जड़ों की, ठोकर, आंधी और नागों की 
पूर्ण आहुति इस ज्वाला को अर्पित है करनी 
प्यार और रिश्तों को यहां पनप्ना है 
और इस खण्डर को एक बार फिर आशियाना बनाना है 

Monday, October 27, 2014

Saayon Ki Kaynaat (सायों की कायनात)

Ek jalta diya bhang kar raha andheri raat
Phadakti lau mein basi saayon ki kayanat
Rang mil nritya kar rahi yeh parchaiyaan
Aur mein akela dekh raha yeh naach

Bolti nahi aur karti nahi kuch baat
Lau ke ird gird chakar rahti yeh kaat
Bujha diya aur lupt hui parchaiyaan
In saayon ko bhi hua tha kya mera ehsaas

एक जलता दिया भंग कर रहा अँधेरी रात
फड़क्ति लौ में बसी सायों की कायनात
रंग मिल नृत्य कर रही यह परछाइयाँ
और मैं अकेला देख रहा यह नाच

बोलती नहीं और करती नहीं कुछ बात
लौ के इर्द गिर्द चकर रहती यह काट
बुझा दिया और लुप्त हुई यह परछाइयाँ
इन सायों को भी हुआ था क्या मेरा एहसास

Sunday, September 21, 2014

Tera Suroor, Teri Ibadat (तेरा सुरूर, तेरी इबादत)

Tum hi to mera alam ho
is rooh ki ek hi ibadat ho

Har musafir se pucha
kya usne tujhe dekha

dar-badar dhoondte hue tum mile yahaan
per tu mujhe dekhe jaise koi anjaan

tujhse bhi pucha
ki khud ko hi khud mein tune kyon khoya

Mere deewangi pe is duniya ka hasna
anjaane kya jaane - tera mera afsana

Woh bhari mehfil mein hona
us bhid mein har pal rona

jaam ka chalkna
mere aansuon ka behna

mujhe madhu ki pyaas
madhughat ko mere honthon ki aas

nashe mein choor, is jaam mein
kabhi tum hume, to kabhi hum tumhe hain dekhte

Mera Alam, meri mohabbat
tera suroor, teri ibadat 


तुम ही तो मेरा आलम हो
इस रूह की एक ही इबादत हो 

हर मुसाफिर से पूछा 
क्या उसने तुझे देखा 

दर-बदर ढूँढ़ते हुए तुम मिले यहाँ  
पर तू मुझे देखे जैसे कोई अंजान

तुझसे भी पुछा 
कि खुद को ही खुद में तूने क्यों खोया 

मेरी दीवानंगी पे इस दुनिया का हसना 
अनजाने क्या जाने तेरा मेरा अफ़साना

वह भरी महफ़िल में होना 
उस भीड़ में हर पल रोना 

जाम का छलकना 
मेरे आंसुओं का बहना 

मुझे मधु की प्यास 
मधुघट को मेरे होठों की आस 

नशे में चूर, इस  जाम में 
कभी तुम हमें, तो कभी हम तुम्हे हैं देखते 

मेरा आलम, मेरी मोहब्बत 
तेरा सुरूर, तेरी इबादत
 

Myriad Ramblings

© 2013; Aakaash Sehgal:

(Dashboard)